Posts

Showing posts from 2017
Image
  Woh behti hai kisi ke honto mein Toh gunjti hai kisi ke kaano mein   Shuru hoti hai ye seene ke andar ki hrudaiy se Toh behti hai kisi ke kalam ki lehro se Jaise who gehri nadi  Jaise mere desh ki hindi
Image
Har roz main woh gali se guzarti hu  Jahan pe hum mila karte the  Tumhe pane ki umeed main nahi Par khoyi hui parchayi paane ki chah mai
Image
Darr hai zindagi ke panne palthake  Ro dungi, Unhi yaadon ko yaad karke nahi  balke aur yaadein na banane  ke gham mein
Image
Mein hu us Meera ki tarha , jo ek baar basalu toh zindagi bhar japti hun!!
Image
Teri yaadon mein Kagaz pe qalam bhi chalta hai  Aur mann mein Tera Khayal Phir afsos  Tere liye haqiqat mein Na ye zubaan chalti hai  Na ye palkein jhapakti hai  Bus jo chalti hai woh hai mere dil ki dhadhkan  Aur Inn ankhon se paani
Image
bharose ke harfo mein tujhe aise chupaya, jaise moum ne apne mein roshni chupaya,
Image
Apni dhooriyo kho apni kinare dekha khe  Bus chal are padange ekk hi naav mhe  Kabhi wo pedokhe beech,tho  Kabhi who pahado khe beech  Jab thak, Wo Himalayo ki baraf peglne se rook jaiye  Aur patho ki raang hare se baangne ho jaiye, Jab thak Nadhi ki pani behne se ruk jaiye  Aur hamari naav theerne se inkaar karde  Jab thak  Teri dadkan meri khano mhe na goonje  Aur Teri tasveer meri ankho mhe se mit jaiye  Jab thak  Meri Kavitha Aur hatho mhe kalam ki wajaha tum na ho  Tub raj  Bus chal padange  Bus chal padange Meghana
Asmaa'n dikha ke Paer ke niche zameen ko cheen le  Khwab dikha ke ,Neend chura le  Baarish mein bigha ke Pyaasa chodh diya mujhe Ankhon ki gehrayi mein dekhne ke vaade karke Ankhon ke aansu andheka karde Par ye dil samajta nahi ke, Asmaan bhi tera nahi, aur naa hi ye zameen  Khwab bhi aftaab se chup jata hai  Baarish barsane ko woh Badal bhi waqt ka mohtaaj hai  Ankhon ka kya hai ye jazbath ka harf bhi samjate nahi
Image
In lamho ki Qhafas mein Bandhi hoon mein, In unche dewaarou mein Na koi jhaank sakta hai  Na koi thod sakta hai, Waqt ke sath taafah jodh te rahi Aur bani thi ek mehfil , Jisme hai akalepan ki goonj  Aur mehfil ki khurbaniyou ke nazraane, Khushiyan badthi Gayi, mehfil sajhte gayi... Aur main in lamho khi qayed me bandhti chali gayi
Image
Meri shabnam ki mashiyyat thi Jiski puri hone ki chahat thi, Amal tha us inaayat ka Ke Intezaar tha us afsoon ka Par yeh bhool yun mujhse hui  Chaand ko aayne mein dekhe Aur Use mehsoos karne ki zid thi