Asmaa'n dikha ke
Paer ke niche zameen ko cheen le
Khwab dikha ke ,Neend chura le
Baarish mein bigha ke
Pyaasa chodh diya mujhe
Ankhon ki gehrayi mein dekhne ke vaade karke
Ankhon ke aansu andheka karde
Par ye dil samajta nahi ke,
Asmaan bhi tera nahi, aur naa hi ye zameen
Khwab bhi aftaab se chup jata hai
Baarish barsane ko woh Badal bhi waqt ka mohtaaj hai
Ankhon ka kya hai ye jazbath ka harf bhi samjate nahi
Comments
Post a Comment