Posts

Showing posts from June, 2017
Asmaa'n dikha ke Paer ke niche zameen ko cheen le  Khwab dikha ke ,Neend chura le  Baarish mein bigha ke Pyaasa chodh diya mujhe Ankhon ki gehrayi mein dekhne ke vaade karke Ankhon ke aansu andheka karde Par ye dil samajta nahi ke, Asmaan bhi tera nahi, aur naa hi ye zameen  Khwab bhi aftaab se chup jata hai  Baarish barsane ko woh Badal bhi waqt ka mohtaaj hai  Ankhon ka kya hai ye jazbath ka harf bhi samjate nahi
Image
In lamho ki Qhafas mein Bandhi hoon mein, In unche dewaarou mein Na koi jhaank sakta hai  Na koi thod sakta hai, Waqt ke sath taafah jodh te rahi Aur bani thi ek mehfil , Jisme hai akalepan ki goonj  Aur mehfil ki khurbaniyou ke nazraane, Khushiyan badthi Gayi, mehfil sajhte gayi... Aur main in lamho khi qayed me bandhti chali gayi
Image
Meri shabnam ki mashiyyat thi Jiski puri hone ki chahat thi, Amal tha us inaayat ka Ke Intezaar tha us afsoon ka Par yeh bhool yun mujhse hui  Chaand ko aayne mein dekhe Aur Use mehsoos karne ki zid thi